मंगलवार, 1 जनवरी 2013
berahmi ki intahan ho gayi
na jane insaniyat kahan kho gayi
kya sabkuch yu hi chalta rahega
punya ki dharti pe yu hi paap palta rahega
insan ke roop mein na jane kaise-2 haiwan hain
na jane kyun wartman kanoon in par meharban hain
insan ki khal pehne bheriye chahu aur ghum rahe
na jane kahan alla, ishu, wahe guru aur bhagwan hain!
desh ki beti damini,tu besak kho gayi
tere khone ke gam mein sari duniya ro gayi
teri balidani damini wyarth na jayegi
yad rakh teri kurwani ek din rang layegi
ABHAY KUMAR ANAND
सदस्यता लें
टिप्पणियाँ भेजें (Atom)

कोई टिप्पणी नहीं:
एक टिप्पणी भेजें